Khwaabo ke mahal me kalpna ka vaas hai,
Abhi baaki meri chand saans hai;
Shaayad tumhaare aane ki koi gunjaaish nahi,
Par tumse milne ki ab bhi aas hai..!!!

Kisi na kisi pe, kisi ko, Aeitbaar ho jaata hai,
Ajnabi koi shaks, aksar yaar ho jaata hai;
Khoobiyon se hi nahin hoti mohhabat,
Khaamiyon se bhi aksar pyaar ho jaata hai…!!!
Hamaare zakhmo ki vajah bhi woh hai…
Hamaare zakhmo ki dava bhi woh hai…;
Woh namak zakhmo pe lagaaye toh kya hua…
Mohabbat karne ki sazaa hi woh hai..!!
koun kehta hai ishq mein bas ikraar hota hai,
kaun kehta hai ishq mein bas inkaar hota hai;
tanhaai ko tum bebasi ka naam na do,
kyun ki ishq ka doosra naam hi intezaar hota hai..!!!
Koi achchhi si saza do mujh ko,
Chalo aisa karo bhula do mujh ko;
Tumse bichhroun toh mout aa jaaye,
Dil ki gehraaiyon se dua do mujh ko..!!!